mohabbat kar to len lekin

mohabbat kar to len lekin
wafa hai shart chahat ki
zara mujhko bata jana
k is dor-e-khudgarzi mein
wafa ab kon karta hai?
wafa kaanton ka rasta hai
to kaanton pe chalega kon?
wafa hai khel aatish ka
to aatish mein jalay ga kon?
wafa hai maut ka soda
yahan baichay ga saansein kon?
wafa hai rat-jaga mosam
yahan jagay ga raatein kon
wafa khud ko mitana hai
yahan khud ko mitaye kon?
wafa sub kuch lutana hai
yahan khud ko lutaye kon?????

characters : 436| Mark FavouriteMarked Favourite 1 time

Kab se khamosh si ghum sum si.

Kab se khamosh si ghum sum si..
yunhi bethi hoon…..
Samne khat hai tera..
aur dil ke angan mein

Mausam-e-dard..
dabey paoun chala aya hai
Aur zakhmon ki fasal
ab ke bahut achi hai

Baaton baaton mein lage
dil pe jo, uss baat ka zakham

Dil ki mundheron pe
jam jaye jo, uss raat ka zakham

iss siyahi mein jo ghum hugaya
uss saath ka zakham

Jo yaqeen toot ke tabdeel huwa
rezoon mein….
ruhh mein chubte khatakte huwe
zaraat ka zakham
Tum ne likha hai ke..
tum zaat ke zakhmon ko
sehna seekho..
Tum bhi auroon ki tarha
duniya mein rehna seekho
Mashvara hai tu bahut khoob
magar…………….
Essi duniya se kahaan
meri shanasayi hai
Yeh tera khat hai ke
Zakham-e-maseehayi hai…

characters : 685| Mark FavouriteMarked Favourite 0 time

Mohabbat to BaaRish hai

” Mohabbat to BaaRish hai,

“Jise”…!!!

Choone ki khwaahish mein,

“HatheLiyaan”…..
to Geeli ho jaati hai ..

“”Magar”"..,

“Haath”…..
Hamesha khaaLi hiii Rehte hai ….”

characters : 176| Mark FavouriteMarked Favourite 0 time

Na Mila Karo Sar-E-Sham Mujhay

Na Mila Karo Sar-E-Sham Mujhay
Main TaNha TaNha Theek Hun

Mujhay Chahton Se Dar Lagta Hay
Main Nafraton Mein Theek Hun

Mujhay Rastoon Mein Chor Do
Mujahy Justuju-E-Manzil Nahi

Na Dekhao Mujhay Raasta
Main Bhatka Hua He Theek Hun

Meray Dosto Mujhay Chor Do
Na Suljhaoo Meri Uljhanain

Mujhay Adavatain He Pasand Hain
Main Dushmanoon Mein Theek Hun

Mujhay Khushi Ki Koi Talab nahi
Mujhay Apna Ghum Bhi Nawaz Do

Mujhay Ansu Peena Pasand Hay
Mujhay Aansoun Mein He Chor Do

characters : 474| Mark FavouriteMarked Favourite 0 time

gehraa sannaaTaa hai.

gehraa sannaaTaa hai…

kuch makaanoN se Khamosh uThtaa hu?aa

gaaRhaa kaalaa dhuuaaN…

mail dil meN liye

har taraf duur tak phailtaa jaataa hai

gehraa sannaaTaa hai…

laash kii tarah bejaan hai raastaa

ek TuuTaa hu?aa Thelaa

ulTaa paRaa

apne pahiye havaa meN uThaaye hu?e

aasmaanoN ko hairat se taktaa hai

jaise ke jo bhii hu?aa

uskaa ab tak yaqiiN isko aayaa nahiiN

gehraa sannaaTaa hai….

characters : 406| Mark FavouriteMarked Favourite 0 time

Yehe wada lia tha na

Yehe wada lia tha na!

hamesha khoosh he rehna hai..

tou dekhoo!

dekh lo aakar!!!

meri aankhoon ko dekhoo tum

ye kitni shookh lagti hein

meray hoontoon ko dekhoon tum

hamesha muskurateen hein…

ko’e bhee ghum aagar aaya

usay hans ker saha mein nay….

meray chahray ko dekhoo tum

hamesha pursakoon hoga…

tou socho gay!!!

kia tha jo tum say wada mein nay, wo ker dia pura

magar aik baat phir bhee hai!!!

kabhee jo waqt mil ja’ey

tou meri shaeeri pharhana

tumheen mehsos tou hoga

kaheen talkhee bhara lehja!

kaheen peh serd sa lehja!

kaheen peh dard ki jheelein!

kaheen lehjay ki karwahat!

sonno!!!

mein khoosh tou hoon lekin

Laho her lafz rota hai….!!!

characters : 679| Mark FavouriteMarked Favourite 0 time

chup hai har waqt ka rone waala

chup hai har waqt ka rone waala;
kuchh na kuchh aaj hai hone waala.
ek bhi ashq nahin hai aankhon mein;
sakht-jaan… kitna hai rone waala.
aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin;
haar phoolon ke pirone waala.
kho gayaa dard ki tasweeron mein;
pyaar ke rang bhigone waala.
fasl ashqon ki ug aayee kaise;
kyaa kahe …kahkahe bone waala.
baant-ta firta hai auron ko hansee;
khud ko ashqon mein dubone waala.
mutmayeen ab hain yahi soch ke hum;
ho rahega hai jo hone waala.
SHAUQ !…tum jiske liye marte ho…
..wo…tumhaaraa nahin hone waala…

characters : 539| Mark FavouriteMarked Favourite 0 time

L0at aa0 k phir yeh aitbar na milega

L0at aa0 k phir yeh aitbar
na milega

Yeh m0habbat yeh ehsaas yeh
pyar na milega

Manga hai RAB se tujhe
dua0n mein R0 R0 kar

Ham jaisa tujhe k0i talabgar
nahi milega!!!

characters : 170| Mark FavouriteMarked Favourite 1 time

Usay mEre haal ki khabar nahi

Usay mEre haal ki khabar
nahi,

Ya dua mein meri asar nahi,

Mujhe darpaish dho0p ki
musafatain,

Meri raah mein k0i shajar
nahi,

Jahan teri yaad0n k0 bahaa
sak0on,

WASSI itna k0i samandr
nahi,

tere baad k0i guzre
yahan se,

Mera dil hai k0i Rah_guzar
nahi………..

characters : 270| Mark FavouriteMarked Favourite 0 time

meri dastan

meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye.
mare azmane wale mujhe azma k roye.
koi asa ahl-e-dil ho k fasan-a-muhabat.
main use suna k royon wo mujhe suna k roye.
meri arzoo ki dunya,dil-e-natwan ki hasrat.
jase kho k aaj shadman thy,use aaj pa k roye.
teri bewafaon per,teri kaj adaon per.
kabhi ser jhuka k roye,kabhi moun chupa k roye.
jo sunyi anjman main shub ghum ki aap beeti.
kayi roo k muskare,kayi muskara k roye.

characters : 422| Mark FavouriteMarked Favourite 2 times