Author Archives for

KUCH BI NAHIN BADLA

tumhary na honey sey kuch bi nahin badla,
ye soraj bi wahan sey niklta hay
asman pey tarey bi chamktey hain
or chand ki chandni bi hoti hay
hawa bi chalti hay darya bi behtay hain
phool bi khiltey hain in main kushbo bi hoti hay…………lakin………
na janey kiown tumharey na honey se
har cheez adhori si lagti hay
har subha shamm si lagti hay
har muskan odas si lagti hay
har mehfil anjan si lagti hay
har darkhan bejaan si lagti hay
such to ye hay k sari dunia ab hum ko
weran si lagti hay

arzoo

taswrat ki dunia faqat hamari hay
tumhain to jeta jagta jahan de dala
zara si nazr-e-anyat ki arzoo thi
kay tum ney sarey ka sara dihan dey dala

bewafai

bula de muj ko bewafai bja hay lakin
ganwa na muj ko main teri zingi raha hon
wo ajnabi bn kay milay bi to kia hay muhsin
ye naz kam hay kay main bi kabi is ka raha hon

muhabbat

ye muhabbat bi ajeeb hai dosto
kaisey kheel khilati hay
khabi hans kar khusian dey
kabi gam main rulati hay
kabi karay salam jukh kar
kabi nazer sey girati hay
kabi basaye mun main apney
kabi kude sanson main sama jati hay
kabi to dey tasali dil ko
kabi dil ko tarpati hy
kabi bachay kanton sey itna
kabi phoolon sey zakham lagati hay
akhir khawbon khialon main kewn mun ka chain churati hay
kabi banay kisi ko apna
kabi apnon ko thukarati hay
na karna itni wafa amjad
ab to wafa bi khata kehlati hay

talaash

itna bi apni zaat se koi juda na ho

nikle teri talaash mein apna pata na ho

dekho kay phir hawaon kay tevar badal gai

sahil ki rait par koi kuch likh raha na ho

tanhaian kuch is tarha basti hain mery saath

aakaas bi jesay shajar se juda na ho

na kar to mery jism kay zakhmon kay yoon hisab

ye deekh tery? haat main pathar bacha na ho

apno se bi miloon to ye khouf sa rahe

chehre ke peechay or koi chehra chupa na ho