barish usay pasand hay

Suna hay barish usay bhi pasand hay
wo bhi meri tarhan barasti bundon ko hathon may samayt leti hay
Suna hay Phool usay bhi pasand hain
Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanton batain karti rehti hay
Suna hay chand usay bhi pasand hay
Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay
Suna hay tanhai usay bhi pasand hay
Wo bhi meri tarhan…………….
Par wo tanha beth kar kis ko sochti hay?
Sari batain sachi hain Magar
Ye bhi sach hay
Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon
Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi

Post a Comment

Your email is never published nor shared. Required fields are marked *

Comment moderation is enabled. Your comment may take some time to appear.