Ae Kaash ! Kahin Qudrat
Ka Ye Nizaam Hua Karey
Tujhy Dekhney k Siwa Na
Mujhy Koi Kaam Hua Karey
Charcha Ho Saary Shehar
Main Tere Mere Pyaar Ka
Mujh Pe Teri Chahat Ka
Ilzaam Hua Karey
Ishq Karo’n Aisa k Ho
Jao’n Main Deewana
Koi Poochy Aarzu Tou Zuban
Pe Tera Naam Hua Karey
Dil Ki Masoom Ragai’n Toot’ti Hain
Yaad Itna Bhi Na Aaye Koi
Wo Ek Shab Jali Tou Usay SHAMMA Keh Dia
Hum Barson Se Jal Rahe Hyn Koi Tou Khitaab Do ?
Tumhari Yaad Ki Dali
Utha Ker
Zubaan Pe Rakh Li Hy Maine
Ye Qatra Qatra Pighal Rahi Hai
Main Qatra Qatra Hii Jee Raha Hoon . . .
Wo Mujhe Tuut Ker Chahe Ga Aur Bhool Jaye Ga
Mujhe Khabar Thi Usey Ye Hunar Bhi Aata Hai !!
Ek Sin Mili Wo Mujh Sy
Bujhi Bujhi Si
Jhuki Jhuki Si
Udasio’n Main Rachi Basi Si
Jo Main Ny Poocha
Udaas Kyun Ho .. ?
Jhuka K Palkai’n
Chupa k Chehra
Lagi Wo Kehne !
Udaasio’n Ka Sabab Tum Hi Ho
Mere Naseebo’n Main
“Tum Nahi Ho” … !!!
Kisiko deke dil koi nawasanj-e-fugaan kyu ho
Na ho jab dil hi seene me to phir mooh mein zabaan kyu ho
Qafas mein mujse rudaad-e-chaman kahate na dar humdum
Giri hai jispe kal bijli, woh mera aasheyan kyu ho
Yahi hai aazmana to satana kisko kehte hai
Adu ke holiye jab tum, to mera intehaan kyu ho
Wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phodana thehra
To phir aye sang-dil tera hi sang-e-aastaan kyu ho
Nikaalna chahta hai kaam kya taanon se tu Ghalib
Tere be-meher kehney se, woh tujh pe meherbaan kyu ho
teri tarha malal mujhay bhi nahi raha
jaa ab tera khayal mujhay bhi nahi raha
tu ne bhi mosmon ki pazeerai chorr di
ab shauq e mah e visaal mujhay bhi nahi raha
mera jawab kia tha tujhay bhi khabar nahi
yaad ab tera sawal mujhay bhi nahi raha
jis baat ka khayaal na tu ne kabhi kia
us baat ka khiyal mujhay bhi nahi raha
tora hai tu ne jab se meray dil ka aaina
andaza e jamal mujhay bhi nahi raha
ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN main
kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN
kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN
ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN
voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN
Khaak Urti Hy Raat
Bhar Mujh Main
Kaun Phirta Hy
Dar-ba-Dar Mujh Main
Mujh Ko Mujh Main
Jaga Nahi Milti
Koi Mojood Hy Is
Qadar Mujh Main …