Urdu / English Patriotic Poetry

Hum Aao Bantain Khushiyan

Chhoo Lain Aasma’an
Hum Aao Bantain Khushiyan
Har dil ka Hai Armaan
Pakistaan, Hamari Jaan
Hai is par sab Qurbaan
Pakistaan, Hamari Jaan

Zinda Hain JazzBay
Humko Yaqe’en Hai
Saaray Jaha’an mein
Hum sa Nahin Hai..!
Jeetain gay Har Damm
Hai ye Eemaan
Pakistaan, Hamari Jaan
Hai is par sab Qurbaan
Pakistaan, Hamari Jaan

Khush’haliya’an hon
Har soo Humaray
Utrain Yahan par
Sb Chand Taaray
Hai pyari Dharti
Apni Pehchaan
Pakistaan, Hamari Jaan
Hai is par sab Qurbaan
Pakistaan, Hamari Jaan

Chhoo Lain Aasma’an
Hum Aao Bantain Khushiyan
Har dil ka Hai Armaan
Pakistaan, Hamari Jaan
Hai is par sab Qurbaan
Pakistaan, Hamari Jaan

Pakistan bantay jao

qadam barhao…… Hath milao
pakistan bantay jao
her ik fard hai pakistan
pakistan ki hum pehchaan
pakistan hamari jaan
her ik fard hai pakistan

waqt hai kathin
chahiye janon
mulk o qoam ko
aao kar dein surkhuru
bharhayein apnay watan ki shaan
her ik fard hai pakistan

manzil ki justaju
dil mein hum rakhein
mehnat karein sabhi
maza jeet ka chakhein
karein taskheer her maidaan
her ik fard hai pakistan

pakistan ki hum pehchaan
pakistan hamari jan
her ik fard hai pakistan

yeh subaz halali percham

yeh subaz halali percham,
yehi mere pehchan mere ha shan,

Qaid ki koshishoon ka inam,
yeh mera payara Pakistan,

mere yeh shan mere pehchan,
Yeh mera payara Pakistan!

pakistan pakistan

pakistan pakistan pakistan pakistan
hay azmaton muhabaton ka nishan

rooh e qaied ki azmaton ko salam ho
jo na banate watan hum reh jate be nishan

Yadon ka aik jhonka aya

yadon ka aik jhonka aya hum se milne barson bad
pehle itna roye nahi the jitna roye barson bad
aj hamari khak pe duniya rone dhone behti hai
phool huwe hain jane kaise itne saste barson bad
bhol bhi jao kisne tora keyun tora kaise tora
keyun dhond rahe ho dil ke tukre in galioun main barson bad
dastak ki umeed lagaye kab tak jete qaisar hum
kal ka wada karne wale milne aye barson bad

Qabron main nahi

qabron main nahi hum ko qitabon main utaro
hum log muhabbat ki kahani main mare hain

Haathon Mein Haath

Haathon Mein Haath

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Aaein gay ghum, Aayay gi khushi
Manzil Chahay, Mushkil Sahee
Aagay Barhoo

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Aangan aanagan khushiyan manaein
Apni zameen ko milke sajaein
yehi hai dua

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Wada karo, saath chalain
Irada karo, saath jeeain
Yunhi Sada

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Veeran rahain, Raushan banaein
Bhatkay huoon ko, rasta dikhaein
Jeenay ka

Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Tu watan ki aabro hai

tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah

yeh hawaon k musafir , yeh samundaron k raahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

yeh tera yaqeen mehkam , teri himmaton ki jaan hai
teray bazo’uon ki kuwwat teray azm ka nishaan hai

tu hi raah , tu hi manzil , tu hi meer e karwaan hai
yeh zameen teri hai , yeh jahaan tera jahaan hai

tu watan ka pasbaan hai , teray haath main hai shaahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

teri abro’uon ki junbash teri ankh ka ishaarah
teray dushmano ki aafat , teray qehar ka ishaarah

tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah
iss aabro se chamka iss dais ka sitaarah

yehi bankapan hai tera , yehi teri kaj-kalaahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

yaad e watan

yaad e watan

hum bhi araam utha saktay thay ghar pe reh kar
hamain bhi paala tha MAA BAAP ne dukh seh seh kar
waqt e rukhsat unnhain itna bhi na aye keh kar
goud main ansu jo tapkay rukh se beh kar
ussay hi tifal samajh lena ji behlanay ko
hum ne jab wadah e ghurbat main qadam rakha tha
doour tak YAAD E WATAN ayee thi samjhanay ko.

Qadam Milaao

“Qadam Milaao”

bachon agay qadam barhaao
apnay parcham ko lehraao
khaamoshi hai achi aadat
par jab bolo rung jamaao
yakjehti ka suraj chamkay
ik doojay se qadam milaao
KHALIQ hai saansaar ka woh hi
USS ki AZMAT k gunn gaao
ilam o amal ka pekar ban kar
saari duniya par chaa jaao
sach main sakoon sach main rahat
jhoot se Aasi tum sharmaao