” Mohabbat to BaaRish hai,
“Jise”…!!!
Choone ki khwaahish mein,
“HatheLiyaan”…..
to Geeli ho jaati hai ..
“”Magar”"..,
“Haath”…..
Hamesha khaaLi hiii Rehte hai ….”
” Mohabbat to BaaRish hai,
“Jise”…!!!
Choone ki khwaahish mein,
“HatheLiyaan”…..
to Geeli ho jaati hai ..
“”Magar”"..,
“Haath”…..
Hamesha khaaLi hiii Rehte hai ….”
Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai..
Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai…
Usne kaha kaun Tumhe hai bahut Azeez..
Maine kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai…
Usne kaha kaun sa Tohfa hai pasand..
Maine kaha Woh Sama jo ab tak Udhaar hai…
Usne kaha saath kahan tak Nibhaoge..
Maine kaha jitni ye Saanson ki Taar hai…
Usne kaha Mujh ko Yakeen aaye kis tarah..
Maine kaha Mera Naam hi Aitbaar hai…
Mohabbat Humse Na Hogi??
Suna hy Is Mohabt mE Bohat
Nuksan hota hai
Mehakta Jhoomta Jevan
Ghamo k Naam hota hai
Suna hai Chain Kho kr Wo Sehr
se Sham Rota hai
Mohabbat Jo b krta hai Bohat
Bdnaam hota hai
Mohabbat Humse na hogi
Suna hai Is Mohabbat mE Kahin
bi Dil nahi lgta
Bina Uski Nigahon main Koi Mosam
nahi Jachta
Khfa Jis se Mohabbat ho Wo Jevan
Bhr nahi Hansta
Bohat Anmol hai Jo Dil
Ujjar kar Phir nahi basta.
Mohabbat Humse na ho gi…!
Sawal Tu Hy Jawab Tu Hy
Mohabbato’n Ki Kitaab Tu Hy
Be-sabat Jaha’n k Rung Saray
Meri Nazar Mein Shabaab Tu Hy
Ye Kainaat Hy Jis Se Roshan
Aftab, Taray, Mehtaab Tu Hy
Kabhi Tou HoTa Hy Paas Mere
Kabhi Chamakta Saraab Tu Hy
Phool, Kaliyo’n Ka Khush-Rung Pairhen
Khushbuo’n Ka Hijaab Tu Hy
Tu Meri Khwahish, Tu Meri Hasrat
Meri Aankho’n Ka Khwaab Tu Hy
Nisaab-e-Zindagi Hy Ishq
Meri Zindagi Ka Nisaab Tu Hy … !!
Mere janey pe
Ae Jaana’n !!
Pareshan Tum Nhi Hona
Kabhi Chup Kr Nhi Rona
Judai Zeher Hoti Hy
Mjhy Maloom Hy
Lekin
Firaq-o-Hijr ka Mausam
Yaqeenan Beet Jayega
Yaqeenan Wasl k Lamhy
Dobara Laut Aaye’n Gy
Wohi Shaamei’n, Wohi Raatei’n
Wohi Qissey, Wohi Baatei’n
Wohi Phir Dastaan Hogi
“Mohabbat Meherban Hogi”
Kaheen ik masoom nazuk si ladki
Bohat khobsoort mager sanwali si
Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa ker
Kabhi neend main muskurati tu ho gi
Usi neend main karwaten badel ker
Serhanay se takiyay girati tu ho gi
Wohi khawab din ki khamoshi main aa ker
Usay man he man main lubhatay tu hongay
Kaii saaz seenay ki khamoshion main
Meri yaad se jhun jhanatay tu hongay
Woh besakhta dheemay dheemay suron main
Meri dhun main kuch gun gunati tu ho gi
mujhay khat likhnay wo bathi tu hogi
Mager ungliyan kapkapati tu hon gi
Qalam haath se choot jata tu ho ga
mager qalam phir say uthati tu ho gi
Mera naam apni kitabon per likh ker
Woh Danton main ungli dabati tu ho gi
Zuban se kabhi uff nikkalti tu ho gi
Badan dheemay dheemay sulagta tu ho ga
Kahiin k kahiin pauoon pertay tu hongay
Zameen pe dupata larakta tu ho ga
Kabhi subah ko shaam kehti tu ho gi
Kabhi raat ko din banati tu ho gi
Kahheen ik masoom nazuk si ladki
Bohat khoobsorat mager sanwali si
Chalo tum sath mat dena…
Mujhy beshak bhula dena…
Naye sapne saja lena…
Naye rishte bana lena…
Bhula dena sabhi waday
Sabhi qasmen sabhi Naty…
Tmhen jana! ijazt hay…
Jo dil chahe wo sab karna..
Magar ab tum kisi se bhi..!
Adhora Pyar Mat Karna
Wahi takraar lafzoon ki
Wahi andeshey furqat k
Wahi gumnaam se kasak
Wahi har baat per ranjish
Wahi har baat per larna
Wahi likhna humaray naam ko bay reham mojon per
Wahi apni kitabon mai gulabi titlian rakhna
Wahi bay mani baton main humara zikr ley aana
Humay parday se chup ker dekhna aur muskura dena
Wahi muskan dheemi si
Wahi kuch bolti aankhein
Wahi chup chaap sa lehja
Wahi bechain si halchal
Wahi saye se ghubrana
Wahi sakhiyon se katrana
Wahi kehnay se kuch derna
Wahi be wajah uthlana
Sab hi aasaar keh tay hain
USSAY MUJH SE MUHABBAT HAI..!!
mohabat phir mohabat hay
kabhi dil say nahi jati…
lakhon rang hein is kay..
ajab hi dhang hein is k..,
kabhi sehra..,
kabhi deriya..,
kabhi jugno..,
kabhi anso..,
hazaron roop rukhti hay..
badan jhulsa k jo rakh day..
kabhi woh dhoop rakhti hay…,
kabhi ban ker yeh eik jugno.
shabe gham ki andheron mein..
dilon ko aas deti hay…….,
kabhi manzil kinarey per..,
sadyon k musafir ko..,
faqat eik piyas deti hay..
Aziyat hi Aziyat hay…,
mohabat phir mohabat hay
kabhi dil say nahi jati…!!!
Aaj Tak Jo HUM
TUM Se Keh Na Sake
Aaj WAZAHAT Se
IQRAR Kerte Hyn
Jisey Tum ROZ Dekhty
Ho AAENEY Mein
Us Se HUM Be-Panah
PYAAR Kerty Hyn … (: