Urdu / English Sad Shayari

Unhone dekha aur aansu ghir pade

Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade?

lamho mein jo kat jae

lamho mein jo kat jae wo kya jindagi
aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi
jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai
jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi

Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey

Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey,
Kabhi Dastan-E-Gum Suna Ke Rooey,

Raat Katti Hai Intezar-E-Yaar Main,
Hum Raat Bhar Taroon Ko Jaga Jaga Ke Rooey,

Phir Woh Na Aay Raat Ka Wada Kar Ke,
Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Rooey,

Aaj Raat Un k Aaney Ki Umeed The Humain,
Woh Na Aay Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Rooey,

Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori,
Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Rooey?!!!

Dard main lazat bohot

Dard main lazat bohot
Ashkon main ranayi bohot
Aye ghamain hasti hamain
Duniya pasand ayi bohot

Ho na ho dahshto chaman
Main ek tahlouk hay zaroor
Bahdesahrayi bhi khusboyen
Ura layi bohot

Besaharoon ki mohabbat
Benawahoon ka khalose
Yeh woh dolat hay k
Insanon ne thukrayi bohot

Mutmahin ho dil to veranoon
K sanate bhi geet
Dil ujar jaye to shairoon main
Bhi tanhayi bohot

Apni fitrat main bhi roshan
Hoon ge lekin aye zameer
Meri ratoon se bhi taroon ne
Chamak payi bohot