http://www.bollydhamal.com/flip.gif

Nasihat

December 30th, 2008 admin Posted in Umeed Collection No Comments »

~ Nasihat ~

Chahat Hy Lekin
Haqiqat Nahi Hy

Aaj Kal Kisi Ko Kisi Sy
Sachi Mohabbat Nahi Hy

Jo Tumhai’n Bhula Dy
Tum Usey Bhula Do

Is Sy Behter Koi
NASIHAT Nahi Hy … :)

AddThis Social Bookmark Button

likha lafz MAA

November 17th, 2008 admin Posted in Umeed Collection No Comments »

Mene kal shab chahato ki sab kitaabein phaad di

Sirf ek kagaz pe likha lafz MAA rehne diya

AddThis Social Bookmark Button

mausam farishto’n jaisa hai

November 16th, 2008 admin Posted in Umeed Collection No Comments »

kabhi din ki dhuup mein jhuum ke kabhi shab ke phuul ko chuum ke
yunhi saath saath chalein sadaa kabhi Khatm apana safar na ho

tumhaare saath ye mausam farishto’n jaisa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataayegaa

AddThis Social Bookmark Button

Dil ny tujhsy na milny ki thani hai

November 9th, 2008 admin Posted in Umeed Collection No Comments »

is bar dil ny tujhsy na milny ki thani hai
par maeny kab kisi ki koi bat mani hai
aik subha teray sath nikalna hai rat sy
aik sham teray sath kisi din manani hai
aik bhaid kholna hai mujhy tery ro-baro
aik bat hai jo maeny tujhko batani hai
mujhy ko b taray toor k lanay ka hai janoon

maeny b asman ki buht khak cahni hai

usky liay b shahar basana hai mujhy

apny liay b aik naai duniya banani hai

jo kuch mae likh raha hon wo rodad hai meri

tum parh sako to phr ya tmhari kahani hai

kehta hai koi aa, issay phr sy likhain ”

ya dastan-e- ishk buht hi purani hai

AddThis Social Bookmark Button

Aansu jo beh rahey hein

November 9th, 2008 admin Posted in Aansoo-Aansu, Umeed Collection No Comments »

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye main
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do..

AddThis Social Bookmark Button

Chand ko sitaron se

November 9th, 2008 admin Posted in Umeed Collection No Comments »

Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai
Phoolon ko baharon se aur mujhe tum se Mohabbat hai

Mehfil main jo milna nighahein jhuka lena
koi samjh na paye ke mujhe tum se Mohabbat hai

Ab tere hijr main bus ek kaam hai Aasman takna
Tum sitaron pe likh dena mujhe tum se Mohabbat hai

Hai hamain ehsas tum ko bhi hum se Pyaar hai lekin
Yeh mere ru - ba - ru  kehna mujhe tum se Mohabbat hai ..!

AddThis Social Bookmark Button

Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha

November 9th, 2008 admin Posted in Ghazal, Umeed Collection No Comments »

Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha
Her Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Thi
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Rahi Thi
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Laboon Ko See Liya Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha
Us Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkaar Ka Kis Main Hosla Tha
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha
Main Bhi Thi Dari Hui Si Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha
Ek Raah Say Main Bhi Thi Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha
Ek Pal Main jhapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha
Soocha To Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha
Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha
Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha
Rakhti Thi Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Gar Chatakh Gaya Tha
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Judda Judda Tha

AddThis Social Bookmark Button

Rah badalney ki baat

November 9th, 2008 admin Posted in Umeed Collection No Comments »

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun
MAin apney KHaab bhikharney ki baat kis sey karun

Abhi woh jaan-e-Ghazal duor hai nighahoon sey
Abhi main Jaan sey Guzarney ki baatv kis sey karun

ABhi toh hijr ki tareekiyan hain dono tafar
Abhi main Chaand Nikalney ki baat kis sey karun ?

Abhi toh ghammoon sey Nidhaal hain sabhi
Abi main tery Bicharneyki baat kis sey karun ?

Meri Judaii ki ghaam mein koi bhi nehi suunta
Tumharey Baad sulaghney ki baat kis sey karun ?

Kisey baataun k tujhy kahaan kahaan nehi dhunda
Nagar nagar mein bhatakney ki baat kis sey karun ?

TEri talab mein yeh beichaain ab bhi rehta hai
Main apney dil k machalney ki baat kis sey karun……!!!!!

AddThis Social Bookmark Button