chup hai har waqt ka rone waala;
kuchh na kuchh aaj hai hone waala.
ek bhi ashq nahin hai aankhon mein;
sakht-jaan… kitna hai rone waala.
aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin;
haar phoolon ke pirone waala.
kho gayaa dard ki tasweeron mein;
pyaar ke rang bhigone waala.
fasl ashqon ki ug aayee kaise;
kyaa kahe …kahkahe bone waala.
baant-ta firta hai auron ko hansee;
khud ko ashqon mein dubone waala.
mutmayeen ab hain yahi soch ke hum;
ho rahega hai jo hone waala.
SHAUQ !…tum jiske liye marte ho…
..wo…tumhaaraa nahin hone waala…
-
« Home
-
Category Archives
- Aankhein
- Aansoo-Aansu
- Ahmad Faraz Shayari
- Barsaat Shayari
- Bewafa Shayari
- Biography of Urdu Poets
- Dard Bhari Shayari
- Dhoka Shayari
- Dosti Shayari
- Dua Shayari
- Eid Shayari
- English Poetry
- Ghazal
- Hussani Shayari
- Intezaar Shyari
- Ishq Shayari
- Islamic Shayari
- Judaii Shayari
- Khushiyaan Shayari
- Mazahiya Shayari
- Mehfil-E-Shayari
- Mirza Ghalib
- Occassion Poetry
- Patriotic Poetry
- Poetry of Sufi
- Poetry SMS
- Punjabi Shayari
- Pyar Mohabbat Shayari
- Romantic Shayari
- Sad Shayari
- Shayari E Watan
- SMS Shayari
- Soch Shayari
- Tanhaii Shayari
- Umeed Collection
- Valentine Day Poetry
- Yaad Shayari
Contents
1 Comment
at 7:52 pm - 4th August 2009 Permalink
is sayari ke liye to mere pass shabd hi nhi bache…suparbbbbbb
Post a Comment