Eid Aai to Khayal Aaya hamain

Eid Aai to Khayal Aaya hamain
Jane kab bichray huye log milay.

Jee main Aata hai abhi tum se kahain
Eid ka Chand mubarak ho Tumhain.

Hum hain Khamosh Hamain Darr hai yehi
Lab Khulain gay to Pukarain gay Tumhain.

Tum ko Dekhay huye Sadiyan beetin
Tum se kehna hai yehi aaj hamain.

Maangna Bhool na jana hum ko.
Chand ko dekh k gar hath Uthain!

Post a Comment

Your email is never published nor shared. Required fields are marked *