http://www.bollydhamal.com/flip.gif



Kabhi Tmhara Dil Udaas Ho

December 30th, 2008 admin Posted in Sad Shayari | No Comments »

Kabhi Tmhara Dil Udaas Ho
Qayas Krna k Pass Main Hoon

Kbhi Kisi Ki Kami Lage Tou
Qayas Krna k Pass Main Hoon

Tmhare Apne Jo Duur
Bethe Tmhari Nazrai’n
Utarte Hyn

Jo Tum Na Un Ko
Qareeb Pao Tou
Qayas Krna k Pass Main Hoon

Ye Mera Wada Bhi Yaad Rkhna
k Main Na Tum Ko Bhula
Sakonga

Jo Tum Bhi Mujh ko Bhula Na Pao
Tou Qayas Krna k Pass Main Hoon

AddThis Social Bookmark Button

Apni Raato’n Ki Fursato’n Main

December 30th, 2008 admin Posted in Ghazal | No Comments »

Main Apni Raato’n Ki
Fursato’n Main
Tujhy Manao’n
Tou Maan Jana

Agar Kisi Din Main Apne
Aanshu Jo Le Ker Aao’n

Tou Maan Jana

Ye Ek Dil Jo Tumhai’n Dia Tha
Is ko bhi Tum ne Tor Dala

Shikista Dil Ki Jo
Khirchio’n Ko Samait Lao’n

Tou Maan Jana

Tu Khush Nahi Hai
Meri Baqa Par Tou
Sirf Itna Bata

Teri Khushi K Liye
Jo Suuli Pe Muskurao’n

Tou Maan Jana

Tu Badguman Hai Meri
Wafa Par Tou Sirf

Ek Baar Azma Le

Jo Haar Jao’n T
ou Laut Jana
Jo Jeet Jao’n
Tou Maan Jana …

AddThis Social Bookmark Button

dua krty hein hm sar ko jhukay

December 21st, 2008 tdomf_0593d Posted in Dua Shayari | No Comments »

dua krty hein hm sar ko jhukay,

aay dost aap apni manzil ko payen,,

jab b aap ki rahoon mein andhera aay,,,

to roshni k liye khuda hum ko jalay!!!

This post was submitted by majida.

AddThis Social Bookmark Button

Chalo Ye Farz Kerty Hy

December 4th, 2008 admin Posted in Pyar Mohabbat Shayari | No Comments »

Chalo Ye Farz Kerty Hy

k

Tum Mashriq
Main Maghrib Hoon

Chalo
Ye Maan Lete Hyn

Bohat Lamba
Safar Hy Ye

Magar Ye Bhi
Haqiqat Hy

Tumhari Zaat Ka Suraj

Meri Hasti main
Duubey Ga …

AddThis Social Bookmark Button

Mujh ko na dekh Door

December 1st, 2008 admin Posted in Pyar Mohabbat Shayari | No Comments »

Mujh ko na dekh Door se Nazdeek aa k dekh
Patthar hoon Halka Phool se Mujh ko utha k dekh

Lafzon k Libaas mai utarta nahi koi
Pareshani Tu apni apne hi Ghar mai suna k dekh

Ye kya k Butt bana lye Pathar tarash kar
Tu Aadami ko Aadami ‘AZAR’ bana k dekh

Cherey k Daag aise to aate nahin nazar
Darpan k Ru-ba-Ru zara Nazrein mila k dekh

Khushbu ko kese le ura Jhonka Hawa ka
Dost Tu b to apne Pyar ki Khushboo Luta k dekh

AddThis Social Bookmark Button

Dukh Dard Kay Maaron

December 1st, 2008 admin Posted in Dard Bhari Shayari | No Comments »

Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna…
Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna…

Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay Samandar…
Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna…

Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Say…
Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna…

Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayein…
Ab Chand Sitaaron Say Mera Zikar Na Karna…

Woh Meri Kahani Ko Ghalat Rung Na Day Dein…
Afsana Nigaaron Say Mera Zikar Na Karna…

Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein…
Is Baar Bahaaron Say Mera Zikar Na Karna…

Lay Jaayein Gi Gehraai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar…
Darya Kay Kinaron Say Mera Zikar Na Karna…

Woh Shakhs Milay Toh Usay Har Baat Batana…
Tum Sirf Ishaaron Say Mera Zikar Na Karna…

AddThis Social Bookmark Button

Kisi Ko Dekhne Ki Tamanna

December 1st, 2008 admin Posted in Intezaar Shyari | No Comments »

Kisi Ko Dekhne Ki Tamanna Main Ashkbaar Yeh Anakehen
Kisi Ke Aahat Sun Ne Taras Rahe Yeh Kaan
Kisi Ke Mehak Saht Liye Hawa Ka Woh Jhonke Se Surakh Huve Rukhsaar
Kise Ke Intezar Ke Ghadiyan Ginete Huve Muskrahat Sajaye Yeh Lub
Kisi Ke Pyar Ko Mehsoos Ker Ne Bechain Yeh Dil
Kisi Ko Chune Ke Tamanna Liye Bechain Yeh Najuk Hath
Kisi Ke Sath Pyar Ke Raahon Main Chalne Bechain Yeh Naajuk Paav
Yaa Khuda In Palkon Ko Bund Ker Ke Un Ansuon Ko Aazad Ker De Ab

Woh Nahi Ayega……!!!!!!!!!!!!

AddThis Social Bookmark Button

Aag Suraj Me Rehti Hai

December 1st, 2008 admin Posted in Pyar Mohabbat Shayari | No Comments »

Aag Suraj Me Rehti Hai
Jalna Zameen Ko Padtha Hai
Mohabbath Nigaahei Karti Hai
Tadapna Dil Ko Padtha Hai

AddThis Social Bookmark Button