duniya ki mohabba

Monday, November 17, 2008 9:42
Posted in category Pyar Mohabbat Shayari

Ye Jindgi jo preetam ki amant hoti hai,
wo chalti hai isliye ki sanse uski hoti hai…

kabhi is chehre se bhi wo muskura liya karta hai,
ki isme bhi uski khushiya samil hoti hai…Ye Jindgi jo…

dard to aksar uski ankho me dekha hai,
phir bhi wo khush tha kyoki isi me mohabbat hoti hai…Ye Jindgi jo…

na usne kuch manga na kahna munasib samjha,
bas niharti najaro me sari khwahise hoti hai…Ye Jindgi jo…

hai mera mahboob kuch alag bhut pyara sa,
uski nigaho me dekho ,

duniya ki mohabbat mere liye hoti hai…Ye Jindgi jo…

tuti hui mohabbat

Monday, November 17, 2008 9:40
Posted in category Pyar Mohabbat Shayari

tuti hui mohabbat ko dhokha naa kahiye….
mohhabbat ko sare aam ruswa naa kariye..
jisse dil me basaya tha kabhi…
uss dilbar ko yu bewafa naa kahiye…!!!

mohabbat ki jawani aane ke bad

Monday, November 17, 2008 9:38
Posted in category Pyar Mohabbat Shayari

Har insaan ne mohabbat ki jawani aane ke bad,
bna shayer bhi wo hi ,par dil me dard hone ke bad…

ask piye ankho me lali aa jane ke bad,
chhipaya dil-e-dard ko,dil ke ghayal ho jane ke bad…Har insaan ne…

nazar nhi aata chehra-e-noor ,uske mohabbat karne ke bad,
Jane wo bhi ab kaha kho gya ,mere nazar aane ke bad…Har insaan ne…

dil to ab bhi daadkata hai ,uske bas jane ke bad,
par dhadkane sirf usi ki hai,mohabbat me lut jane ke bad…Har insaan ne…

rhoo tere aanchal ke saye me,kyamat tak aa jane ke bad,
sou teri god me hi ,mout bhi aa jane ke bad…Har insaan ne…

Maine kaha Maut ko

Monday, November 17, 2008 9:34
Posted in category Dard Bhari Shayari

Maine kaha Maut ko thorde din tal jaa,,

Maut ne kaha teri kisi ko jaroorat nahi tu chala aa,

Maine kaha koi hai jo humare liye jeeta hai,,,,

Maut ne kaha isliye tu roj paani ki jagah aansu peeta hai

Tags:

kahin ek aakhri hadd

Monday, November 17, 2008 9:33
Posted in category Dard Bhari Shayari

kahin ek aakhri hadd hai jahan dil ko bikharna hai
wahin se phir mujhe apna safar aaghaaz karna hai

main suraj hoon andheron se mujhe kya farq parta hai
jahan main aaj dooba hoon wahin se kal ubharna hai

UDDASS Baith’ha tha

Monday, November 17, 2008 9:33
Posted in category Sad Shayari

Kal RAAT Urr rahay thay SITAARAY HAWA kay Saath
Aur MEIN UDDASS Baith’ha tha Apnay KHUDA kay Saath

Ya to QABOOLIYYAT ka Tareeka Sikha MUJHE
Ya MERE DIL ko BAANHD day APNI RAZA kay Saath…!!!

Kafi Arsa Beet Gyaa

Monday, November 17, 2008 9:32
Posted in category Barsaat Shayari

Kafi Arsa Beet Gyaa Janay Ab Woh Kaisa Hoga

Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga

Ab Bhi Bhegge Brish Mein Woh Bn Kay Chatri Chalta Hoga

Mujhsay Bichray Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga

Acha Tha Jo Sath Hi Rhety Baad Mein Os Nay Soccha Hoga

Apnay Dil Ki Sari Baatain Khud Say Khud Hi Karta Hogaa …

hathon ki lakeerain

Monday, November 17, 2008 9:32
Posted in category Ahmad Faraz Shayari

bhala hathon ki lakeerain bhi mit’ti hain Faraz

kitna pagal hai mera naam mitanay wala

http://www.smsxone.com/images/radio.jpg