barish usay pasand hay

Monday, November 17, 2008 9:31
Posted in category Barsaat Shayari

Suna hay barish usay bhi pasand hay
wo bhi meri tarhan barasti bundon ko hathon may samayt leti hay
Suna hay Phool usay bhi pasand hain
Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanton batain karti rehti hay
Suna hay chand usay bhi pasand hay
Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay
Suna hay tanhai usay bhi pasand hay
Wo bhi meri tarhan…………….
Par wo tanha beth kar kis ko sochti hay?
Sari batain sachi hain Magar
Ye bhi sach hay
Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon
Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi

Tags:

likha lafz MAA

Monday, November 17, 2008 9:31
Posted in category Umeed Collection

Mene kal shab chahato ki sab kitaabein phaad di

Sirf ek kagaz pe likha lafz MAA rehne diya

Tags:

Duniya ki nazron mein girna

Monday, November 17, 2008 9:30
Posted in category Ishq Shayari

Duniya ki nazron mein girna mere kis kaam aaya
Apno se bichad kar woh bewafa gairon ke kaam aaya.

Main bhool chuka tha ki apne hi bewafai karte hain
Duniya meri barbaad karke use zara bhi rehem na aaya.

Agar woh wafadaar hota to yoon bewafai na karta
Mujhe uska intezaar raha, par voh lout kar na aaya.

Zindagi to qaafiro ke sang gujar hi jaayegi
Par jise dost samjha woh dushmani karne aaya.

Qatal hi karna tha toh samne se karta
Humdard bankar kyon usne peeth main khanjar chalaya.

Dost bana kar fir humse use mujh par pyar na aaya..
Kyon ki bewafaai usne kyon use mujh par pyar na aaya..

Nazro mai uski ab sharm ke cheente hai
Ab tanhaai ne sataya toh mere pas chala aaya.

Fakat mujhe uski zarurat bhi kya hai ”ISHQ”
Ab zanaza mera dekhkar kyon use rona aaya

Bheegi hui ik shaam

Monday, November 17, 2008 9:29
Posted in category Soch Shayari

Bheegi hui ik shaam ki dehleez pe baithe,
Main dil k sulagne ka sabab soch raha hun,
Duniya ki to aadat hai badal leti hai aankhein,
Main uske badalne ka sabab soch raha hun :(

Meri wafa ne banaya hai bewafa

Monday, November 17, 2008 9:28
Posted in category Dard Bhari Shayari

Karoon to kis liye aakhir karoon malal us ka,
usey nahin to mujhey bhi nahin khayal us ka,
Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko,
Kisi ada par nahin hai kamal us ka,
Mere naseeb ki yeh bhi to khush naseebi hai,
Ke mujh ko dekh ke sab pochte hain hal us ka,
Yehi doa main karon har baras ke pehley din,
Mere bagher na guzre koi bhi saal us ka,
Mere urooj ko us ke naseeb main likh dey,
KHUDA-E-PAK mujhey soonp de zawaal us ka..

Tags:

Tera na ho saka

Monday, November 17, 2008 9:27
Posted in category Ahmad Faraz Shayari

Tera na ho saka to mar jaunga “Faraz”,
kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha.

Jiska tum puchte ho

Monday, November 17, 2008 9:25
Posted in category Ahmad Faraz Shayari

Jiska tum puchte ho wo mar gaya “FARAZ”,
Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya……….

Wo Lamhe

Sunday, November 16, 2008 11:46
Posted in category Dard Bhari Shayari

Wo Lamhe Jo Mujhe Chuh Kar Nahi Gujre
Wo Lamhe Jo Mujhe Chuh Kar Nahi Gujre,
Wo Waqt Jo Meri Yadoon Mein Nahi Dhala,

Kyon Bhul Nahi Pata Mein,
Kyon Reh Reh Kar Yaad Ata Hai Mujhko.

Wo Raat Jo Meri Ankhoon Mein Saji Hain,
Wo Khushbu Meri Sanson Mein Basi Hain,

Kyon Badalon Si Bhar Ati Hain
Kyon Bundon Si Baras Jati Hain

Wo Sawan Jo Mere Dar Par Aya Hii Nahii,
Wo Barsat Jisne Kuch Barsaya Hii Nahii,

Kyon Uska Intezar Ab bhi Hain,
Kyon Dil Bekrar Ab Bhi Hain

Ashayein Kyon Mit Ti Nahii,
Umeede Kyon Ghat Ti Nahii,

Dhuan Dhuan Dil Kaa Jahan Hain,Mein Heraan Hoon,
Fir Bhii Kyon Arman Jawan Hain,Mein Heraan Hoon

Tags:

http://www.smsxone.com/images/radio.jpg