Its A Voice Of Father

Its A Voice Of Father

Umar Bhar Jis Phool Ki Maine Parwarish Ki

Jab Khushboo K Kaabil Hua To Gairon Ko De Diya

characters : 116|

Khushk Tinkon Se Ghar Bana Rahe

Khushk Tinkon Se Ghar Bana Rahe Ho Mohsin…
Ye Jante Bhi Ho K Mizaaz-E-Yaar Aag Jaisa Ha.

characters : 91|

Uski zindagi mein meri ahamiyat

Uski zindagi mein meri ahamiyat ek khilone jaisi hai “Faraz”…
Dil karta hai to khelta hai,
Dil bharta hai to tod deta hai…!

characters : 129|

Khirki’ Chand’ kitab aur main

Khirki’
Chand’
kitab aur main,

Muddat se ik baab aur main,

Shab bhar khelain apas main,

Do ankhain ik khawab aur main,

Mouj aur kashti sahil per,

Darya me gardaab aur main,

Shaam,
udaasi,
khaamoshi,

Kuch kankar, talaab aur main,

Har shab pakrey jatey hain,

Gehri neend,
tery khwab, aur main.

characters : 300|

Chalo kuch khwab bunte hain

Chalo kuch khwab bunte hain
Haqiqat ka jo paira hon
Jo andheron ko mita dalain
Jo rangon ka basera hon
Chalo ik saaz sunte hain
Jo zindagi ki leh or dhun ho
Jo maot ka raqeeb,dushman ho
Jo thehre pani main halchal kare
Jo jazbaat ko mutzalzal kare
Chalo kuch phool chunte hain
Jo khushboo dain nihaan ker dain
Jo tanha veeran jeevan ko
An-ginat umeedon ka jahan ker dain
Per khwab,saaz or phool to bas
Kuch mubhim si tadbirain hain
Jo kuch pal talkh haqeeqat bhula dain
Wo paani pe tehreerain hain
Main kab tak tum main kho jaon
Kiun na apna aap khojun main
Ya
Phir main “tum” he ho jaon…

characters : 590|

Mere dukh ki koee dawa na karo

Mere dukh ki koee dawa na karo
mujh ko mujh se abhi juda na karo

Nakhuda ko khuda kaha hai to phir
doob jaao khuda khuda na karo

ishq hai ishq ye mazaaq nahi
chund lamhon mein faisla na karo

Ashiqi ho ke bandagi faakir
be-dili se to ibtada na karo

By: Sudarshan faakir

characters : 273|

Hasti apni habaab ki si hai

Hasti apni habaab ki si hai
ye numaish saraab ki si hai

naazuki uss ke lab ki kia kahiye
pankhri ik gulaab ki si hai

baar baar uss ke dar pe jaata hoon
haalat ab iztiraab ki si hai

Meer unn neem-baaz aankhon mein
saari masti sharaab ki si hai
By: Meer Taqi Meer

characters : 264|

Na jaana aaj taq kia shai khushi hai

Na jaana aaj taq kia shai khushi hai
hamari zindagi bhi zindagi hai

tere gham se shikayat see rahi hai
mujhe sach-much barhi sharmindagi hai

mohabat mein kabhi soucha hai yun bhi
ki tujh se dosti ya dushmani hai

Zamana zulm mujh per kar raha hai
tum aisa kar sako tu baat bhi hai

jhalak masoomiyon mein shokhiyon ki
bohat rangeen teri sadagi hai

isse sunn lo sabab iska na puucho
mujhe tum se mohabat hogai hai

suna hai ik nagar hai aansoo’on ka
ussi ka dusraa naam aankh bhi hai

tumhara zikr aaya ittifaqan
na bighro baat per baat aa gai hai

abhi kuch dum ka hoon mehman muuh na phero
abhi aankhon mein kuch kuch roshni hai

By: Firaq Gorakhpuri

characters : 654|

Zindagi yun huee basar tanha

Zindagi yun huee basar tanha
Qafila saath aur safar tanha

din guzarta nahi hain logon mein
raat hoti nahi basar tanha

Raat bhar bolte hein sannate
raat kaate koee kidhar tanha

apne saaye se chonk jaate hein
umr guzri hain iss qadar tanha

hum ne darwaze taq tu dekha tha
phir na jaane gaye kidhar tanha

By: Gulzar

characters : 317|

Zindagi ka dard lekar inqalaab aaya

Zindagi ka dard lekar inqalaab aaya tu kya
ek joshida pe ghurbat mein shabaab ayaa tu kya

ab tu aankhon par gham-e-hasti ke parde parh gaye
ab koee husn-e-mujassim be-naqaab aaya tu kya

khud chale aate tu shayad baat ban jaati koee
baad tark-e-aashqi khat ka jawaab aaya tu kya

ek tajalli se munawwar kijiye qatl-e-hayaat
her tajalli par dil-e-khaana kharaab aaya tu kya

matlaa-e-hasti ki saazish dekhte hum bhi Shakeel
hum ko jab neend aa gaee phir mahataab aaya tu kya

By: Shakeel Badayuni

characters : 497|