Tag Archives for Ah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak

Ah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak

ah ko chahiye ik umr asar hone tak
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak

dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak

ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak

ham ne mana k taaful na karoge lekin
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak